kyun mujhe mahsus ye hota hai aksar raat bhar
sina-e-shab par chamakta hai samundar raat bhar
ek barq-e-zard lahrae to qissa KHatm ho
kyun Darae rakhta hai mujh ko mera ghar raat bhar
ab rahega zist mein lamha-ba-lamha ek azab
ab khulega ek fusun manzar-ba-manzar raat bhar
main hun kya aur kya meri pahchan ab us ke baghair
main jise sine mein rakhta hun saja kar raat bhar
imtihan hone na hone ka na ho darpesh 'tur'
ek sada si gunjti hai mere andar raat bhar

Ghazal
Kyun mujhe mahsus ye hota hai aksar raat bhar
Krishna Kumar Toor