اردو हिंदी
Kyun mujhse gurezan hai main tera muqaddar hun | Shaahi Shayari
kyun mujhse gurezan hai main tera muqaddar hun

Ghazal

Kyun mujhse gurezan hai main tera muqaddar hun

Aslam Mahmood

;

kyun mujh se gurezan hai main tera muqaddar hun
ai umr-e-rawan KHush hun main tujh ko mayassar hun

main aap bahaar apni main apna hi manzar hun
KHud apne hi KHwabon ki KHushbu se moattar hun

be-rang na wapas kar ek sang hi de sar ko
kab se tera talib hun kab se tere dar par hun

jab jaisi zarurat ho ban jata hun waisa hi
KHud apni tabiat mein shisha hun na patthar hun

lamhon ke tasalsul mein marzi hai meri shamil
main waqt ki shah-e-rag par rakkha hua KHanjar hun

aasuda hun main apne virana-e-hasti mein
duniya tujhe milne ke imkan se bahar hun

jab chahun simaT kar main zarre mein sama jaun
wusat mein to waise hi sahra hun samundar hun