kyun mili thi hayat yaad karo
yaad rakhne ki baat yaad karo
kaun chhuTa kahan kahan chhuTa
rah ke hadsat yaad karo
abhi kal tak wafa ki rahon mein
tum bhi the mere sath yaad karo
mujh se kya puchhte ho haal mera
KHud koi wardat yaad karo
jis dam aankhen mili thi aankhon se
thi kahan kaenat yaad karo
bhul aae jabin ko rakh ke kahan
kahan pahunche the raat yaad karo
dil ko aaina-gar banana hai
aaine ke sifat yaad karo
niklega chand unhin andheron se
un se milne ki raat yaad karo
chhoDo jaane do jo hua so hua
aaj kyun kal ki baat yaad karo
karna hai shairi agar 'naushad'
'mir' ka kulliyat yaad karo
Ghazal
Kyun mili thi hayat yaad karo
Naushad Ali