اردو हिंदी
Kyun ki kahiye ki ada-bandi hai | Shaahi Shayari
kyun ki kahiye ki ada-bandi hai

Ghazal

Kyun ki kahiye ki ada-bandi hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

kyun ki kahiye ki ada-bandi hai
shaeri kya hai hawa-bandi hai

KHam-e-gesu ko chhua tha kis ke
shab se gulshan mein saba-bandi hai

kyunki hum KHun na roen shab-e-id
yar mashghul-e-hina-bandi hai

dar pe baiThe hain tere be-zanjir
ye ajab tarah ki pabandi hai

nahin paDhta mera nusKHa attar
bas-ki masruf-e-dawa-bandi hai

shoKH mazmun se hazar karte hain
sher mein jin ke haya-bandi hai

muzhda ai hasrat-e-nazzara ki wan
gird chilman ke rida-bandi hai

har nafas taza ghazal kahte hain
har nafas taza nawa-bandi hai

'mushafi' sher mein to yaad hamein
zor-surat ki ada-bandi hai