kyun kar chubhe na aankh mein gul KHar ki tarah
bhai hai dil ko ek trahdar ki tarah
haalat talash-e-yar mein ye ho gai meri
jata hun baiTh baiTh dil-e-zar ki tarah
kya dil mein KHar rashk-e-ruKH-e-yar ka chubha
bigDi hui hai kyun gul-e-gulzar ki tarah
hai kuchh na kuchh wahan bhi asar dard-e-ishq ka
aankh un ki bhi hai is dil-e-bimar ki tarah
ai kash mere tar-e-rag-e-jaan ko toD de
qatil ki tegh yar ke iqrar ki tarah
'kaifi' biThaen aankhon pe kyun aap ko na log
chubhti hui hai aap ke ashaar ki tarah
Ghazal
Kyun kar chubhe na aankh mein gul Khaar ki tarah
Dattatriya Kaifi

