اردو हिंदी
Kyun kahun koi qad-awar nahin aaya ab tak | Shaahi Shayari
kyun kahun koi qad-awar nahin aaya ab tak

Ghazal

Kyun kahun koi qad-awar nahin aaya ab tak

Ajiz Matvi

;

kyun kahun koi qad-awar nahin aaya ab tak
han mere qad ke barabar nahin aaya ab tak

ek muddat se hun main sina-sipar maidan mein
hamla-awar koi baDh kar nahin aaya ab tak

ye to dariya hain jo aape se guzar jate hain
josh mein warna samundar nahin aaya ab tak

honge manzil se ham-aghosh ye ummid bandhi
raste mein koi patthar nahin aaya ab tak

kya zamane mein koi gosh-bar-awaz nahin
koi bhi dil ki sada par nahin aaya ab tak

jaane kya baat hai saqi ki teri mahfil mein
jo gaya baDh wo palaT kar nahin aaya ab tak

intiha ye hai ki pathra gain aankhen apni
samne wo pari-paikar nahin aaya ab tak

kya karishma hai dur-e-ashk-e-mohabbat apna
sadaf-e-chashm se bahar nahin aaya ab tak

muntazir hun main kafan bandh ke sar se 'ajiz'
samne se koi KHanjar nahin aaya ab tak