kyun jeb mein mulla meri taqdir liye hai
kyun rah ka har moD koi pir liye hai
karta hai shab-o-roz jo sarkar ki tarif
ye shaKHs bhi shayad koi jagir liye hai
sar ek bhi main ne yahan uncha nahin dekha
pagal hai jo ab hath mein shamshir liye hai
har peD se aati hai mere dost ki KHushbu
har phul mere shoKH ki taswir liye hai
ek ajnabi milta hai baDe pyar se 'aKHtar'
kya wo bhi koi hasrat dil-gir liye hai

Ghazal
Kyun jeb mein mulla meri taqdir liye hai
Saeed Ahmad Akhtar