kyun falak-ashna kiya tha mujhe
jab zamin par hi phenkna tha mujhe
ban gaya main kitab qisson ki
us ne ek lafz mein kaha tha mujhe
ab nagina hai kal yahi patthar
raste mein paDa mila tha mujhe
us ka aaseb mujh pe barsega
hadsa ye bhi jhelna tha mujhe
main naqib-e-saba tha phulon ne
pattharon ki tarah suna tha mujhe
main sada sahilon ki kya sunta
ruKH hawaon ka moDna tha mujhe
main bahut kaam ka tha us ke liye
aur zae wo kar raha tha mujhe
ab wo KHud ko talash karta hai
jo kabhi mujh mein DhunDhta tha mujhe
bachcha majburiyon ko kya jaane
ek khilauna KHaridna tha mujhe
Ghazal
Kyun falak-ashna kiya tha mujhe
Nusrat Gwaliari