kyun dekhiye na husn-e-KHuda-dad ki taraf
lazim nazar hai gulshan-e-ijad ki taraf
pae jo tere gosha-e-dastar ki hawa
qumri uDi na turra-e-shamshad ki taraf
be-asl ai falak nazar aata hai tu mujhe
karta hun ghaur jab teri buniyaad ki taraf
gulshan mein kaun bulbul-e-nalan ko de panah
gulchin o baghban bhi hain sayyaad ki taraf
mazlum hun magar nahin milta koi gawah
hain ahl-e-hashr is sitam-ijad ki taraf
nadan kahin panah nahin maut se tujhe
kya dekhta hai qila-e-faulad ki taraf
ham-jins ko zarur hai ham-jins ka KHayal
raghbat na ho bashar ko pari-zad ki taraf
mazmun kamar ka hath na aaya jo dahr mein
jaana paDa mujhe adam-abaad ki taraf
taklif ju-e-shir ki de kar jo thi KHajil
shirin na dekh sakti thi farhad ki taraf
diwangi ka zor tamasha hai ai pari
fassad ki nigah hai haddad ki taraf
gardan jhukae shauq-e-shahadat mein hun rawan
dil le chala hai kucha-e-jallad ki taraf
umid-war chashm-e-inayat ka hai gharib
dekho to ek nazar dil-e-nashad ki taraf
naseh agar sitam na sahen hum to kya karen
dil dauDta hai yar ki be-dad ki taraf
bulbul samajh rahi hai ki gulha-e-KHanda-ru
rakhte hain kan nala-o-fariyaad ki taraf
fazl-e-KHuda se apni tabiat hai be-niyaz
ru-e-talab kabhi na hua dad ki taraf
waiz se sun ke qamat-e-tauba ki KHubiyan
dauDa KHayal ek qad-e-azad ki taraf
bhule hue hain sare zamane ki nematen
mailan-e-dil jinhen hai teri yaad ki taraf
ya shah-e-jinn-o-ins 'asar' par bhi ek nazar
rakhta hai aankh aap ki imdad ki taraf
Ghazal
Kyun dekhiye na husn-e-KHuda-dad ki taraf
Imdad Imam Asar