اردو हिंदी
Kyun band sab khule hain kyun chir aTpaTa hai | Shaahi Shayari
kyun band sab khule hain kyun chir aTpaTa hai

Ghazal

Kyun band sab khule hain kyun chir aTpaTa hai

Abroo Shah Mubarak

;

kyun band sab khule hain kyun chir aTpaTa hai
kya qatl kun hamare ab ThaTh yun ThaTha hai

is waqt mein pyare hum kun sharab dije
dekho to kya hua hai rijho to kya ghaTa hai

birhan ke nain ro ro jogi baran hue hain
kajar bhabhut anjhu mala palak jaTa hai

KHwah laThiyon sin maro KHwah KHak mein lathaDo
aashiq ka dil piyare chaugan ka baTa hai

lab kun ankhiyon kun mukh kun bar kun kamar kun qad kun
in sab ko chahta hai TukDe ho dil baTa hai

saman-e-aish hum kun asbab-e-gham hue hain
KHun-e-jigar hai sahba baKHt-e-siyah ghaTa hai

kya rang hai tumhaare ruKHsar ka sirijan
jis par nazar kare sin gul ka jigar phaTa hai

aashiq ki 'abru' hai KHwari mein jaan dena
namard wo kahawe jo ishq sin haTa hai