اردو हिंदी
Kyun andheron mein rahen raat basar hone tak | Shaahi Shayari
kyun andheron mein rahen raat basar hone tak

Ghazal

Kyun andheron mein rahen raat basar hone tak

Karrar noori

;

kyun andheron mein rahen raat basar hone tak
KHud hi KHurshid na ban jaen sahar hone tak

kitna achchha ho ki is bar mariz-e-shab-e-gham
achchha ho jae masiha ko KHabar hone tak

kitni hi bar KHayalon mein tere pas gae
ham-safar karte rahe waqt-e-safar hone tak

hai ye tashhir-e-mohabbat to kahin baad ki chiz
aap mil sakte hain duniya ko KHabar hone tak

dagh-e-dil apni hi sozish se bana hai KHurshid
aur kya guzregi qatre pe guhar hone tak

ai dil-e-wada-talab phir koi tajwiz-e-wafa
ek nazar aur bhi taid-e-nazar hone tak

tere sath apne bhi jine ki duaen mangin
ham-safar sath rahe KHatm-e-safar hone tak

had bhi hoti hai koi tishna-labi ki 'nuri'
KHud hi pi lete hain saqi ki nazar hone tak