kyun aa gae hain bazm-e-zuhur-o-numud mein
aazad mard ho ke rahe hum quyud mein
salik hai kyun taKHayyul-e-tark-e-wajud mein
naqsh-e-suwar ka rang hai tere shuhud mein
jo aa gae tajalli-e-tanzih-e-zat mein
mahdud kis tariq se honge hudud mein
raaz-e-darun-e-parda ze-rindan-e-mast purs
salik hai kyun hijab-e-shuhud-o-wajud mein
arini o lan-tarani ka sab raaz khul gaya
kya nashsha-e-gharib hai sharb-ul-yahud mein
ai gul jahan mein jin ko tera ishq ho gaya
wo KHar se khaTakte hain chashm-e-husud mein
mashhur-e-KHalq jo hai wo maqbul-e-haq nahin
kyun ahmaqon ko naz hua hai numud mein
taat nahin hai wo ki jo ho be-huzur-e-qalb
ai shaiKH kya dhara hai ruku-o-sujud mein
hai bul-ajab ye zamzama-e-saut-e-sarmadi
kis tarah aae mariz-e-guft-o-shunud mein
sufi ye sahw mahw hue sadd-e-bab-e-uns
kya imbisat kar-gah-e-hast-o-bud mein
tar-e-nafas se hai tan-e-KHaki basa hua
hai ankabut lipTi hui tar-o-pud mein
sufi yahi hai nur-e-sawad-e-hijab-e-qalb
zulmat hui jo sina-e-sozan ke dud mein
faiz-e-nigah-e-rahbar-e-kaamil ka hai asar
'saqi' hai mahw taat-e-rabb-e-wadud mein
Ghazal
Kyun aa gae hain bazm-e-zuhur-o-numud mein
Pandit Jawahar Nath Saqi

