kya zindagi ne rakkhi saughat mere haq mein
har jit us ko hasil har mat mere haq mein
taqsim ho gaya hai donon mein ek rahbar
ek hath us ke hisse ek hat mere haq mein
muddat se nam hai daman aaKHir dikhaen kis ko
ek roz ho gai thi barsat mere haq mein
hain raunaqen kahin to bedariyan kahin hain
jo raat us ke haq mein wo raat mere haq mein
yun mushtarak the hum sab har fard tha masawi
phir bhi hain sare mushkil haalat mere haq mein
kya KHub hai tumhaara ye mansab-e-saKHawat
sab iltifat KHud par zulmat mere haq mein
lazim hai naghmagi bhi goyai bhi zaruri
likhti hai ab KHamoshi naghmat mere haq mein
Ghazal
Kya zindagi ne rakkhi saughat mere haq mein
Pawan Kumar