kya zarurat be-zarurat dekhna 
tum na aaine ki surat dekhna 
phir gain bimar-e-gham ko dekh kar 
apni aankhon ki murawwat dekhna 
hum kahan ai dil kahan didar-e-yar 
ho gaya teri badaulat dekhna 
hai wo jab dil mein to kaisi justuju 
DhunDne walon ki ghaflat dekhna 
samne tarif pichhe galiyan 
un ki munh dekhi mohabbat dekhna 
jin ko baqi hi na ho ummid kuchh 
aise mayuson ki hasrat dekhna 
mera KHat ye kah ke ghairon ko diya 
ek zara is ki ibarat dekhna 
aur kuchh tum ko na aaega nazar 
dil mein rah kar dil ki hasrat dekhna 
subh uTh kar dekhna 'ahsan' ka munh 
aise waison ki na surat dekhna
 
        Ghazal
Kya zarurat be-zarurat dekhna
Ahsan Marahravi

