kya zamana tha ki hum rose mila karte the
raat-bhar chand ke hamrah phira karte the
jahan tanhaiyan sar phoD ke so jati hain
in makanon mein ajab log raha karte the
kar diya aaj zamane ne unhen bhi majbur
kabhi ye log mere dukh ki dawa karte the
dekh kar jo hamein chup-chap guzar jata hai
kabhi us shaKHs ko hum pyar kiya karte the
ittifaqat-e-zamana bhi ajab hain nasir
aaj wo dekh rahe hain jo suna karte the
Ghazal
Kya zamana tha ki hum rose mila karte the
Nasir Kazmi