kya us ki sifat mein guftugu hai
jaisa tha wahi hai jo tha su hai
aankhen hain to dekh le kahun kya
hazir nazir hai ru-ba-ru hai
yak bain ki nazar mein ek hai ga
ahwal ki nigah mein go ki do hai
tu sair kare hai jis chaman ki
har gul mein saba usi ki bu hai
wo tujh mein hai tu hai usi mein har-dam
kya us ka suragh-o-justuju hai
ai shaiKH tu us ki kuchh haqiqat
mat puchh ye sirr-e-gu-ma-gu hai
apni apni si sab kahen hain
kab uqda ye hal kisu se ho hai
ye masala la-jawab hai ga
chup rahna yahan hamari KHu hai
chaalis baras hue ki 'hatim'
mashshaq-e-qadim o kohna-go hai
Ghazal
Kya uski sifat mein guftugu hai
Shaikh Zahuruddin Hatim