kya sunaen kisi ko haal apna
apne dil mein rahe malal apna
sharmsar-e-jawab ho na saka
bas-ki KHuddar tha sawal apna
kis ne dekha nahin hai baad-e-uruj
saya-e-charKH mein zawal apna
hasrat-e-did le chale hum to
aap dekha karen jamal apna
pech-dar-pech gesu-e-mushkin
ja ke uljha kahan KHayal apna
dil asir-e-bala-e-zulf-e-daraaz
mahw-e-fariyaad baal baal apna
maut aai na iltijaon se
aur jina hua wabaal apna
hai ye pur-dard dastan 'mahrum'
kya sunaen kisi ko haal apna
Ghazal
Kya sunaen kisi ko haal apna
Tilok Chand Mahroom