kya rup dosti ka kya rang dushmani ka
koi nahin jahan mein koi nahin kisi ka
ek tinka aashiyana ek ragni asasa
ek mausam-e-bahaaran mehman do ghaDi ka
aaKHir koi kinara is sail-e-be-karan ka
aaKHir koi mudawa is dard-e-zindagi ka
meri siyah shab ne ek umr aarzu ki
larze kabhi ufuq par taga sa raushni ka
shayad idhar se guzre phir bhi tera safina
baiTha hua hun sahil par nai-ba-lab kabhi ka
is iltifat par hon lakh iltifat qurban
mujh se kabhi na phera ruKH tu ne be-ruKHi ka
ab meri zindagi mein aansu hain aur na aahen
lekin ye ek miTha miTha sa rog ji ka
o muskuraate taro o khilkhilate phulo
koi ilaj meri aashufta-KHatiri ka
Ghazal
Kya rup dosti ka kya rang dushmani ka
Majeed Amjad