اردو हिंदी
Kya raushni-e-husn-e-sabih anjuman mein hai | Shaahi Shayari
kya raushni-e-husn-e-sabih anjuman mein hai

Ghazal

Kya raushni-e-husn-e-sabih anjuman mein hai

Bishan Narayen Darabar

;

kya raushni-e-husn-e-sabih anjuman mein hai
fanus mein hai shama ki tan pairahan mein hai

bhaDkati hai junun ko gul-o-lala ki bahaar
ek aag si lagi hui sare chaman mein hai

purze samajh ke jama-e-tan ke uDa junun
wo jama-zeb bhi to usi pairahan mein hai

sukhe shajar hare jo hue phir to kya hua
nasur-e-nau hamare bhi zaKHm-e-kuhan mein hai

bazm-e-KHayal-e-yar mein ghairon ka kya guzar
KHalwat jo chahiye wo usi anjuman mein hai

taqdir-e-reg-e-shisha-e-saat mili mujhe
kulfat safar ki raat din apne watan mein hai

bulbul ki KHush-nawai ka bais hai ishq-e-gul
dil mein jo dard hai to maza bhi suKHan mein hai

rang-e-KHizan bhi jis ka hai rashk-e-bahaar-e-abr
wo kisht zafaran ki hamare watan mein hai