kya ranj ki yusuf ka KHaridar nahin hai
ye shahr koi misr ka bazar nahin hai
kyun meri giraftari pe hangama hai har su
wo kaun hai jo tera giraftar nahin hai
kis kis pe inayat na hui teri nazar ki
bas ek meri samt guhar-bar nahin hai
kyun jurat-e-izhaar pe hairan ho meri
abru hain tumhaare koi talwar nahin hai
saya hai mere sar pe 'qamar' dhup shajar ka
baiTha hun jahan saya-e-diwar nahin hai
Ghazal
Kya ranj ki yusuf ka KHaridar nahin hai
Qamar Siddiqi

