kya puchhte ho dard ke maron ki zindagi
yani falak ke Dubte taron ki zindagi
phailaun hath ja ke bhala kis ke samne
hum ko nahin gawara sahaaron ki zindagi
sahil pe aa ke mauj-e-talatum se barha
barbaad ho gai hai hazaron ki zindagi
aati hai yaad kyun mujhe rah rah ke aaj bhi
gulshan ke dil-fareb nazaron ki zindagi
hai aandhiyon ka KHauf na hai Dubne ka Dar
mujh ko nahin pasand kinaron ki zindagi
kis darja KHush-gawar hai tanhaiyon mein aaj
'saifi' chamakte chand sitaron ki zindagi
Ghazal
Kya puchhte ho dard ke maron ki zindagi
Saifi saronji