اردو हिंदी
Kya mila tumko mere ishq ka charcha kar ke | Shaahi Shayari
kya mila tumko mere ishq ka charcha kar ke

Ghazal

Kya mila tumko mere ishq ka charcha kar ke

Jaleel Manikpuri

;

kya mila tum ko mere ishq ka charcha kar ke
tum bhi ruswa hue aaKHir mujhe ruswa kar ke

mujh pe talwar ka ehsan na hua KHub hua
mar Dala teri aankhon ne ishaara kar ke

nigah-e-shauq ko mane nahin parda koi
aap jaenge kahan aankh se parda kar ke

tum ne ki wada-KHilafi to koi baat nahin
sabhi mashuq mukar jate hain wada kar ke

har maraz ke liye KHaliq ne dawa paida ki
mujh ko bimar kiya tujh ko masiha kar ke

uD gaya rang jo mehndi ka to kya gham un ko
phir jama lenge abhi KHun-e-tamanna kar ke

shukr us banda-nawazi ka ada kya ho 'jalil'
mere sarkar ne rakkha mujhe apna kar ke