kya mera iKHtiyar zaman-o-makan par
pahre biTha diye hain kisi shai ne dhan par
tujh se bichhaD ke ghar ki taraf lauTte hue
kyun bastiyon ka wahm hua har chaTan par
hasrat rahi ki surat-e-ab-e-rawan chalen
kab se misal-e-sang paDe hain Dhalan par
thi jin ki dastaras mein hawa pa-ba-gil hue
ai musht-e-KHak zoam kahan ka uDan par
han aarzu to dil mein kabhi se hai zaKHm ki
kya apna iKHtiyar kisi ki kaman par
Dhalne lagi hai sham mere KHak-dan ki KHair
shoala-fishan hui hai shafaq aasman par
'shahid' tamam umr phira dar-ba-dar magar
dastak na de saka kabhi apne makan par

Ghazal
Kya mera iKHtiyar zaman-o-makan par
Saleem Shahid