اردو हिंदी
Kya lutf masafat mein ki Dar koi nahin hai | Shaahi Shayari
kya lutf masafat mein ki Dar koi nahin hai

Ghazal

Kya lutf masafat mein ki Dar koi nahin hai

Khurram Khaleeq

;

kya lutf masafat mein ki Dar koi nahin hai
pani ka safar aur bhanwar koi nahin hai

phir kaun hai sahil pe jo rukne nahin deta
viran jaziron mein agar koi nahin hai

ek chap utarti hai dar-e-dil pe har ek shab
dekha hai kai bar magar koi nahin hai

tum meri masafat ke liye aaKHiri had ho
ab tum se pare rahguzar koi nahin hai

har shaKHs hai jaise koi viran haweli
likkha hai ye mathon pe ki ghar koi nahin hai

hai apne muqaddar mein yahi tirgi 'KHurram'
ab raat ke daman mein sahar koi nahin hai