kya laDke dilli ke hain ayyar aur naT-khaT
dil len hain yun ki hargiz hoti nahin hai aahaT
hum aashiqon ko marte kya der kuchh lage hai
chaT jin ne dil pe khai wo ho gaya hai chaT-paT
dil hai jidhar ko udhar kuchh aag si lagi thi
us pahlu hum jo leTe jal jal gai hai karwaT
kaliyon ko tu ne chaT chaT ai baghban jo toDa
bulbul ke dil jigar ko zalim lagi hai kya chaT
ji hi haTe na mera to us ko kya karun main
har-chand baiThta hun majlis mein us se haT haT
deti hai tul bulbul kya nala-o-fughan ko
dil ke ulajhne se hain ye aashiqon ki phaT phaT
murde na the hum aise dariya pe jab tha takiya
us ghaT gah o begah rahne laga tha jamghaT
ruk ruk ke dil hamara be-tab kyun na howe
kasrat se dard-o-gham ki rahta hai us pe jhurmuT
shab 'mir' se mile hum ek wahm rah gaya hai
us ke KHayal-e-mu mein ab to gaya bahut laT
Ghazal
Kya laDke dilli ke hain ayyar aur naT-khaT
Mir Taqi Mir