kya kya nazar ko shauq-e-hawas dekhne mein tha
dekha to har jamal isi aaine mein tha
qulzum ne baDh ke chum liye phul se qadam
dariya-e-rang-o-nur abhi raste mein tha
ek mauj-e-KHun-e-KHalq thi kis ki jabin pe thi
ek tauq-e-fard-e-jurm tha kis ke gale mein tha
ek rishta-e-wafa tha so kis na-shanas se
ek dard hirz-e-jaan tha so kis ke sile mein tha
sahba-e-tund-o-tez ki hiddat ko kya KHabar
shishe se puchhiye jo maza TuTne mein tha
kya kya rahe hain harf o hikayat ke silsile
wo kam-suKHan nahin tha magar dekhne mein tha
taib the ehtisab se jab sare baada-kash
mujh ko ye iftiKHar ki main mai-kade mein tha
Ghazal
Kya kya nazar ko shauq-e-hawas dekhne mein tha
Mustafa Zaidi