kya koi taswir ban sakti hai surat ke baghair
phir kisi se kyun mile koi zarurat ke baghair
dushmani to chahne ki intiha ka nam hai
ye kahani bhi adhuri hai mohabbat ke baghair
teri yaaden ho gain jaise muqaddas aayaten
chain aata hi nahin dil ko tilawat ke baghair
dhup ki har sans ginte sham tak jo aa gae
chhanw mein wo kya jien jine ki aadat ke baghair
bach gaya daman agar mere lahu ke dagh se
wo mera qatil to mar jaega shohrat ke baghair
us ki sardari se ab inkar karna chahiye
raushni deta nahin suraj siyasat ke baghair
husn ki dukan ho ki ishq ka bazar ho
yan koi sauda nahin hai dil ki daulat ke baghair
shabnami chehra chhupaun kaise bachchon se 'fahim'
sham aati hi nahin ghar mein tahaarat ke baghair

Ghazal
Kya koi taswir ban sakti hai surat ke baghair
Faheem Jogapuri