kya koi dard dil ke muqabil nahin raha 
ya ek dil bhi dard ke qabil nahin raha 
un ke lahu ki dahr mein arzaniyan na puchh 
jin ka gawah daman-e-qatil nahin raha 
apni talash hai hamein aankhon ke shahr mein 
aaina jab se apne muqabil nahin raha 
sargarmi-e-hayat hai be-maqsad-e-hayat 
sab rah-naward-e-shauq hain mahmil nahin raha 
us ka KHayal aata hai apne KHayal se 
ab wo bhi apni yaad mein shamil nahin raha
        Ghazal
Kya koi dard dil ke muqabil nahin raha
Mughni Tabassum

