kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe
in dinon main ne pareshan sa paya hai tujhe
bahr-e-shadabi-e-jazbaat ki ai mauj-e-rawan
kaun is dasht-e-bala-KHez mein laya hai tujhe
teri tanwir salamat magar ai mahr-e-mubin
ghar ki diwar pe yun kis ne sajaya hai tujhe
shikwa-e-talKHi-e-haalat baja hai lekin
is pe rota hun ki main ne bhi rulaya hai tujhe
gah pahna hai tujhe KHilat-e-zarrin ki tarah
gah paiwand ke manind chhupaya hai tujhe
tu kabhi mujh se rahi misl-e-saba daman-kash
aur kabhi apne hi bistar pe sulaya hai tujhe
meri aashufta-mizaji mein nahin koi kalam
ruTh ke sare zamane se manaya hai tujhe
Ghazal
Kya kisi lamha-e-rafta ne sataya hai tujhe
Sahar Ansari