kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi
na-muradi ki nishani ye jawani aaegi
sab kahenge kaun karta hai hamare raaz fash
jab mere lab par mohabbat ki kahani aaegi
na-muradi se kaho munh pher le apna zara
meri duniya mein urus-e-kaamrani aaegi
jab KHizan ki nazr ho jaegi duniya se shabab
yaad 'aKHtar' ye sitam-ara jawani aaegi
Ghazal
Kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi
Akhtar Ansari