اردو हिंदी
Kya KHabar hai na mile phir koi shisha aisa | Shaahi Shayari
kya KHabar hai na mile phir koi shisha aisa

Ghazal

Kya KHabar hai na mile phir koi shisha aisa

Nashtar Khaanqahi

;

kya KHabar hai na mile phir koi shisha aisa
KHud ko chhute hue Darta hun shikasta aisa

sabza-e-lams pe baDhta hua lamha lamha
sust-rau shoala-e-tufan-e-tamanna aisa

ab na dastak mein sada hai na hai zanjir mein shor
band ab tak na hua tha dar-e-tauba aisa

sans ke sath lapakta hai tah-e-mauj-e-KHayal
kis ne boya tha mere jism mein shoala aisa

sar se Tapka jo shajar ke to zamin bhi na mili
ab ke ek barg-e-jawan shaKH se TuTa aisa

aks ko naqsh to jazbe ko karun para-e-rang
kal ke aaine se jhankega na chehra aisa

ab to zanjir-e-talluq hai na wo rishta-e-dard
main wo KHush-baKHt ki paya hai zamana aisa