kya kahun tum se main yaro kaun hun
hun sarapa qais-e-sahra-e-junun
chashm-e-KHun-afshan meri ro den agar
dasht ho jawe abhi dariya-e-KHun
dar par rakkhen mujhen mansur-war
fash kar dun main agar raaz-e-darun
ishq hai ganjina-e-asrar-e-haq
pa nahin sakti ise aql-e-zabun
kaun kar sakta hai mujh diwana kaun
qaid juz zanjir-o-zulf-e-pur-fusun
ru-ba-ru mastan jam-e-ishq ke
din kya hai aur kya duniya-e-dun
ab to 'asim' ishq-e-KHadim-shah mein
hun sarapa qais-e-sahra-e-junun
Ghazal
Kya kahun tum se main yaro kaun hun
Shah Aasim

