kya kahun hasrat-e-didar ne kya kya khincha
kabhi daman tera khincha kabhi parda khincha
naqsh-e-ummid mere shauq ne ulTa khincha
mujh se khinchte hi gae wo unhen jitna khincha
wo tere dil mein hamari bhi jagah kar dega
jis ne is aankh ke til mein tera naqsha khincha
KHwab is dil pe teri aankh ne Dore Dale
KHub kajal ne teri aankh mein Dora khincha
tan lin donon bhawen Dal ke nazren us ne
tir chhoDe to kamanon ne bhi chilla khincha
zabt-e-fariyaad se 'muztar' meri sansen uljhin
rasm-e-fariyaad ne upar ko kaleja khincha
Ghazal
Kya kahun hasrat-e-didar ne kya kya khincha
Muztar Khairabadi