اردو हिंदी
Kya kahen mahfil se teri kya uTha kar le gae | Shaahi Shayari
kya kahen mahfil se teri kya uTha kar le gae

Ghazal

Kya kahen mahfil se teri kya uTha kar le gae

Masooda Hayat

;

kya kahen mahfil se teri kya uTha kar le gae
hum mata-e-dard ko tanha uTha kar le gae

dhup ka sahra nazar aata hai ab chaaron taraf
aap to har peD ka saya uTha kar le gae

ab wahi zarre hamare haal par hain KHanda-zan
aasman tak jin ko hum uncha uTha kar le gae

kya gharaz hum ko wahan ab koi bhi aabaad ho
hum to us basti se ghar apna uTha kar le gae

wo to majnun tha raha jo umr bhar sahra-naward
hum jahan pahunche wahin sahra uTha kar le gae

kar na pae rahbar bhi rahnumai jab 'hayat'
hum bhi hairani mein naqsh-e-pa uTha kar le gae