kya kasa-e-mai lijiye is bazm mein ai ham-nashin
daur-e-falak se kya KHabar pahunchega lab tak ya nahin
ye kasa-e-firozgun hai shisha-baz-e-pur-funun
jitne hiyal hain aur fusun sab us ke hain zer-e-nagin
ho e'timad us ka kise hai shisha-bazi yaad use
rakhta hai shad ek dam jise karta hai phir andohgin
kal daman-e-sahra mein hum guzre jo waqt-e-subh-dam
ek kasa-e-sar par alam aaya nazar apne wahin
bola ba-fariyaad-o-fughan kya dekhta hai o miyan
the hum bhi sar-bar-asman go ab to hain zer-e-zamin
gul-barg se nazuk-badan sar panw se rashk-e-chaman
zarrin o simin pairahan dilkash makanon ke makin
din raat naz o nematen mah-talaton ki sohbaten
aish-o-nashat-o-ishraten saqi qiran mutrib qarin
bagh-o-chaman pesh-e-nazar bazm-e-tarab sham-o-sahar
har-su ba-kasrat jalwa-gar husn-e-butan-e-naznin
ek aasman ke daur se ek gardish-e-fil-faur se
ab sochiyega ghaur se dar-lahza-an dar-lahza-in
sunte hi ji tharra gaya ruKHsar par ashk aa gaya
dil ibraton se chha gaya KHatir hui bas sahmagin
us mein sar apna na-gahan har mu hua misl-e-zaban
bola 'nazir' aagah ho han man-niz-roze hamchunin

Ghazal
Kya kasa-e-mai lijiye is bazm mein ai ham-nashin
Nazeer Akbarabadi