اردو हिंदी
Kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage | Shaahi Shayari
kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage

Ghazal

Kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage

Abrar Ahmad

;

kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage
bas KHak hai is teri meri KHak se aage

hai shor-e-fughan KHamushi-e-marg ke pichhe
ek tez hawa hai KHas-o-KHashak se aage

hum dekhte hain aankh mein sahme hue aansu
ek chup hai kahin KHanda-e-be-bak se aage

ek rang sa hai rang-e-tamanna se mumasil
ek abr sa hai dida-e-nam-nak se aage

main apne kisi KHwab ki munh-zor hawa mein
aksar hi nikal jata hun aflak se aage

kya shor karen girya-e-usshaq se baDh kar
kya zor karen pairhan-e-chaak se aage