kya jaane kitne hi rangon mein Dubi hai
rang badalti duniya mein jo yak-rangi hai
manzar manzar Dhalta jata hai pila-pan
chehra chehra sabz udasi phail rahi hai
pili sansen bhuri aankhen surKH nigahen
unnabi ehsas tabiat tariKHi hai
dekh gulabi sannaTon mein rahne wale
aawazon ki KHamoshi kitni kali hai
aaj safedi bhi kala malbus pahan kar
apni chamakti rangat ka matam karti hai
sari KHabron mein jaise ek zahr bhara hai
aaj aKHbaron ki har surKHi nili hai
'kaif' kahan tak tum KHud ko be-dagh rakhkhoge
ab to sari duniya ke munh par syahi hai
Ghazal
Kya jaane kitne hi rangon mein Dubi hai
Kaif Ahmed Siddiqui