kya hue aashiq us shakar-lab ke
tane sahne paDe hamein sab ke
bhulna mat buton ki yari par
hain ye bad-kesh apne matlab ke
qais o farhad chal base afsos
the wo kam-baKHt apne mashrab ke
shaiKHiyan shaiKH ji ki denge dikha
mil gae wo agar kahin ab ke
yaad rakhna kabhi na bachiyega
mil gae aap waqt gar shab ke
us mein KHush howen aap ya na-KHush
yar to hain suna usi Dhab ke
yar bin 'aish' mai-kashi tauba
hai ye apne KHilaf mazhab ke
Ghazal
Kya hue aashiq us shakar-lab ke
Aish Dehlvi