kya hua us ne jo aashiq se jafakari ki
ruh ne jabki na qalib se wafadari ki
lambi daDhi bhi kisi hath se ruswa hogi
hazrat-e-shaiKH saza paenge makkari ki
tu wo zalim hai gaya naz se itra ke jo wan
dawar-e-hashr ne bhi teri taraf-dari ki
dagh raushan mere sine pe jo dekhe us ne
mohr-e-pur-nur pe bhapti kahi chingari ki
gham-e-majnun mein siyah-posh bani hai laila
ai junun ye shab-e-hijran ki nahin tariki
sun liya nam wafa ka hai kisi aashiq se
jaan ab kahe ko chhoDenge wafadari ki
ek tauba ke siwa kuchh na kiya hum ne 'wasim'
afw ke hath hai ab sharm gunahgari ki

Ghazal
Kya hua usne jo aashiq se jafakari ki
Waseem Khairabadi