kya ho gaya hai gesu-e-KHamdar ko tere
aazad kar rahe hain giraftar ko tere
ab tu hai muddaton se shab-o-roz ru-ba-ru
kitne hi din guzar gae didar ko tere
kal raat chobdar samet aa ke le gaya
ek ghol tarah-dar-e-sar-e-dar ko tere
ab itni kund ho gai dhaar ai yaqin teri
ab rokta nahin hai koi war ko tere
ab rishta-e-mariz-o-masiha hua hai KHwar
sab pesha-war samajhte hain bimar ko tere
bahar nikal ke aa dar-o-diwar-e-zat se
le jaegi hawa dar-o-diwar ko tere
ai rang us mein sud hai tera ziyan nahin
KHushbu uDa ke le gai zangar ko tere
Ghazal
Kya ho gaya hai gesu-e-KHamdar ko tere
Jaun Eliya