اردو हिंदी
Kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna | Shaahi Shayari
kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna

Ghazal

Kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna

Hasan Akbar Kamal

;

kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna
din Dhale saya muqabil hua baDh kar apna

ghar se nalan the magar dekhi hai duniya hum ne
hai agar koi aman-gah to bas ghar apna

dard pe kaisa sharar ban ke uTha pahlu mein
hum to yun KHush the ki dil kar liya patthar apna

raat-bhar koi na soe to sune shor-e-fughan
chand ko dard sunata hai samundar apna

dukh uThae to bahut rang KHud apne dekhe
kam qayamat se na tha jo bhi tha manzar apna

roz-o-shab apne kisi se nahin milte hain 'kamal'
hum to lae hain alag sab se muqaddar apna