kya ghazab tu ne ai bahaar kiya
patti patti ko be-qarar kiya
ab to sach bolne ki rasm nahin
kis ne phir ehtimam-e-dar kiya
aatish-e-dard mein kami na hui
lakh aankhon ko ashk-bar kiya
raushni ki talash mein hum ne
barha zulmaton se pyar kiya
mauj-dar-mauj the dukhon ke bhanwar
hum ne tanha sabhi ko par kiya
jab banaya tha chand itna hasin
us ka anjam kyun ghubar kiya
Ghazal
Kya ghazab tu ne ai bahaar kiya
Parveen Fana Syed

