kya faqat talib-e-didar tha musa tera
wahi shaida tha tera main nahin shaida tera
dida-e-shauq se be-wajh hai parda tera
kis ne dekha nahin in aankhon se jalwa tera
KHud nazakat pe na kyun bojh ho parda tera
kya kisi aankh ne dekha nahin jalwa tera
miT gai shorish-e-tufan-e-hawadis ai mauj
ab wahi tu wahi bahta hua dariya tera
chain se shahr-e-KHamoshan mein har ek sota hai
aasra sab ko hai ai wada-e-farda tera
manzilat ek ki bhi hogi na waisi ba-KHuda
hashr mein aaega jis shan se ruswa tera
zindagi kahti hai arman koi ab hai na ummid
kab talak sath karun main tan-e-tanha tera
be-sabab meri KHamoshi nahin ai shahid-e-husn
daman-e-sabr se Dhankta nahin parda tera
yun hababon ka na dil toD KHuda-ra ai mauj
inhin qatron ke to milne se hai dariya tera
wahi rangat wahi KHushbu wahi nazuk-badani
phul ne naqsh utara hai sarapa tera
tujh se milne ka jo hai shauq to dar dar na phire
panw toDe hue baiTha rahe shaida tera
ai gul aati hai KHizan bagh mein Thahra na mujhe
dekhun in aankhon se utra hua chehra tera
kash zahid ruKH-e-raushan se uTha len wo naqab
phir to kuchh rind ki rindi hai na taqwa tera
apne mai-KHane se ghabra ke main bahar aaya
jab haram se koi nikla na shanasa tera
us pe kya zor bhala jis pe ho us ka qabu
chashm-e-shauq apni sahi dil to hai shaida tera
justuju shart hai mil jaega zina bhi zarur
samne hai nazar-e-shauq ke mukhDa tera
wusat-e-qudrat-e-haq hogi na mahdud kabhi
nahin milne ka sira zulf-e-chalipa tera
bazm-e-aKHir hai taqaza na kar ai mahfil-e-shauq
ab kahan saf bhala saghar o sahba tera
'shad' ghazlen nahin aayat-e-zubur in ko samajh
lahn-e-daud se kuchh kam nahin naghma tera
ab jawani ki umangen na umangon ki KHushi
'shad' ko hai faqat ai mauj sahaara tera
Ghazal
Kya faqat talib-e-didar tha musa tera
Shad Azimabadi