kya dekhta hai haal ke manzar idhar bhi dekh
mazi ke naqsh yaad ki diwar par bhi dekh
dekhe hain mere aib to mera hunar bhi dekh
sauda hai jis mein apna ana ka wo sar bhi dekh
le kaam mujh se saKHt uDanon ka tu magar
pahle meri nigah mere baal-o-par bhi dekh
chehre ke rang-o-nur ko mera hunar samajh
mujh ko meri nazar se kabhi jhank kar bhi dekh
ek bar aur bach ke zamane ki aankh se
hun dekhne ki chiz to bar-e-digar bhi dekh

Ghazal
Kya dekhta hai haal ke manzar idhar bhi dekh
Syeda Shan-e-Meraj