kya batlaen yaad nahin kab ishq ke hum bimar hue
aisa lage hai arsa guzra hum ko ye aazar hue
aap ka shikwa aap se karna ju-e-shir ka lana hai
aap ke samne bolun kaise aap meri sarkar hue
tir ki tarah kirnen barsin subh nikalte suraj ki
lahuluhan tha sara chehra nind se jab bedar hue
adl ki to zanjir hilane hum bhi gae darwaze tak
hath magar zanjir na aai matub-e-darbar hue
jo bhi zaKHm liye the dil par hum ne un ki chahat mein
un se kah dena wo sare zaKHm gul-o-gulzar hue
'mir' ka to ahwal paDha hai kya 'nusrat' tum bhul gae
ye nagri hai ishq ki nagri kya kya sayyad KHwar hue
Ghazal
Kya batlaen yaad nahin kab ishq ke hum bimar hue
Sayyad Nusrat Zaidi