kya bataun ki main chup-chup sa kya sunta hun
apne andar se bikharne ki sada sunta hun
sab ke so jaane pe aflak se kya kahta hai
raat ko ek parinde ki sada sunta hun
ek ajab sa hai sukut aur sada ka sangam
mahwiyat mein kabhi ek aisi nawa sunta hun
naz hai mujh ko ki aaghaz-e-tajassus hun main
mujh se pahle bhi koi tha ye main kya sunta hun
kabhi aati nahin apne kahin hone ki sada
gah peDon ki bhi sanson ki sada sunta hun
aa rahi hai mujhe phir jaise sada-e-atraf
phir main jaise koi paigham naya sunta hun
sham ko 'talKH' ye fitrat se suKHan karne mein
kya kahun chup ki sada bolta ya sunta hun
Ghazal
Kya bataun ki main chup-chup sa kya sunta hun
Manmohan Talkh