اردو हिंदी
Kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein | Shaahi Shayari
kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein

Ghazal

Kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein

Irfan Sattar

;

kya bataun ki jo hangama bapa hai mujh mein
in dinon koi bahut saKHt KHafa hai mujh mein

us ki KHush-bu kahin atraf mein phaili hui hai
subh se raqs-kunan baad-e-saba hai mujh mein

teri surat mein tujhe DhunD raha hun main bhi
ghaaliban tu bhi mujhe DhunD raha hai mujh mein

ek hi samt har ek KHwab chala jata hai
yaad hai ya koi naqsh-e-kaf-e-pa hai mujh mein

meri be-rah-rawi is liye sarshaar si hai
mere haq mein koi masruf-e-dua hai mujh mein

apni sanson ki kasafat se guman hota hai
koi imkan abhi KHak hua hai mujh mein

ek chubhan hai ki jo bechain kiye rahti hai
aisa lagta hai ki kuchh TuT gaya hai mujh mein

ya to main KHud hi rihai ke liye hun be-tab
ya giraftar koi mere siwa hai mujh mein

aaina is ki gawahi nahin deta to na de
wo ye kahta hai koi KHas ada hai mujh mein

ho gai dil se teri yaad bhi ruKHsat shayad
aah-o-zari ka abhi shor uTha hai mujh mein

mujh mein aabaad hain ek sath adam aur wajud
hast se bar-sar-e-paikar fana hai mujh mein

majlis-e-sham-e-ghariban hai bapa chaar pahr
mustaqil bas abhi mahaul-e-aza hai mujh mein

ho gai shaq to bil-aKHir ye ana ki diwar
apni jaanib koi darwaza khula hai mujh mein

KHun bahata hua zanjir-zani karta hua
koi pagal hai jo behaal hua hai mujh mein

us ki KHush-bu se moattar hai mera sara wajud
tere chhune se jo ek phul khila hai mujh mein

mujh sa be-maya kahan aur kahan zom-e-kalam
ai mere rabb-e-suKHan teri ata hai mujh mein

tere jaane se yahan kuchh nahin badla maslan
tera baKHsha hua har zaKHm hara hai mujh mein

kaise mil jati hai aawaz-e-azan se har subh
raat bhar gunjne wali jo sada hai mujh mein

kitni sadiyon se use DhunD rahe ho ba-sud
aao ab meri taraf aao KHuda hai mujh mein

mujh mein jannat bhi meri aur jahannam bhi mera
jari-o-sari jaza aur saza hai mujh mein

raushni aise dhaDakte to na dekhi thi kabhi
ye jo rah rah ke chamakta hai ye kya hai mujh mein