kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar main ne kiya
umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya
tu to nafrat bhi na kar paega is shiddat ke sath
jis bala ka pyar tujh se be-KHabar main ne kiya
kaise bachchon ko bataun raston ke pech-o-KHam
zindagi-bhar to kitabon ka safar main ne kiya
kis ko fursat thi ki batlata tujhe itni si baat
KHud se kya bartaw tujh se chhuT kar main ne kiya
chand jazbaati se rishton ke bachane ko 'wasim'
kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya
Ghazal
Kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar maine kiya
Waseem Barelvi