kya baat nirali hai mujh mein kis fan mein aaKHir yakta hun
kyun mere liye tum kuDhte ho main aisa kaun anokha hun
wo lamha yaad karo jab tum is qalb-sara mein aae the
us roz se apna haal hai ye kabhi hansta hun kabhi rota hun
kuchh bhuli-bisri yaadon ka albela shahr basaya hai
koi waqt mile to aa niklo yahin milta hun yahin rahta hun
kuchh aur baDhe is raste mein anfas-e-rifaqat ki KHushbu
tum sath sahi hamrah sahi main phir bhi tanha tanha hun
main KHak-basar main arsh-nashin main sab kuchh hun main kuchh bhi nahin
main tere guman se patthar hun main tere yaqin se hira hun
Ghazal
Kya baat nirali hai mujh mein kis fan mein aaKHir yakta hun
Athar Nafees