kuza-gar dekh agar chaak pe aana hai mujhe
phir tere hath se har chaak silana hai mujhe
bandh rakkhe hain mere panw mein ghungru kis ne
apni sur-tal pe ab kis ne nachana hai mujhe
raat-bhar dekhta aaya hun charaghon ka dhuan
subh-e-ashur se ab aankh milana hai mujhe
hath uTThe na koi ab ke dua ki KHatir
ek diwar pas-e-dar banana hai mujhe
sar bache ya na bache tere ziyan-KHane mein
apni dastar bahar-taur bachana hai mujhe
chhoD aaya hun dar-e-dil pe main aankhen apni
ab zara jae jo kahta tha ki jaana hai mujhe
Ghazal
Kuza-gar dekh agar chaak pe aana hai mujhe
Zulfiqar Naqvi